Dua yehi hy bahaaron mein musturati rehein,
Falak pe chaand sitaron mein muskurati rehein,
Mehak uthay teri khushboo se zamana sara,
K ban k phool hazaaron mein muskurati rehein,
Adad pe chara rahe tere qalam ka jalwa,
K ban k shama, minaron mein muskurati rehein,
Khuda kare k ho har ek tamanna poori,
K kaamyaabi qataron mein muskurati rehein,
Daraaz umer ho aur khush tumhein Khuda rakhe,
Gham-e-Duniya k in khaaron mein Muskurati rehein,
Hain aap Shama-e-Mehfil, Hain aap Rooh-e-Adab,
Nazar mein dhal k nazaron mein muskurati rehein,
Meri taraf se mubarak ho tumhein Saalgirah,
Sada chaand taaron mein muskurati rehein...
Phool khilte rahen zindagi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aap ki nigah mein,
Qadam qadam par milay khushi ki bahaar aap ko,
Dil deta hy yehi dua baar baar aap ko, Happy Birthday...
No comments:
Post a Comment